Quranic Verses and Hadiths regarding Namaz
Al-Quran: Ae Iman walo! Jumma ke Din jab Namaz ke lye Azan di jae to ziker Ilaahi ki taraf dor ker aao aur Khareed o Farookht chor do, ager tum jaano to yehi baat tumharey lye behter hai¤
(Surah Jumma, V# 9)
Al-Quran: Ae Iman walo! Apne aapko aur apne gher walo ko Jahanam ki Aag se bachao, jiska indhan log aur pather honge¤
(Al-Tehrim, V#6)
Hadees: Abdullah Bin Masood Raziallahu Anhu se rivayat hai k, "apne bacho ki Namaz ki hifazat karo, phir in main Khair ki aadat daalo, islye ke khair aadat ke zarye aati hai.
(Bahiqi,3/84)
Hadees: Bureedah Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya,
andherey main Masjidon ki taraf chal ker jaaney walon ko Qayamat ke din kaamil roshni ki khushkhabri de do.
(Abu Dawood, Termizi)
Hadees: Abu Huraira Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, jab Aadmi raat ko uthey aur apni biwi ko bhi uthae aur "dono" 2 Rak'at namaz adaa karain to Allah Ta'la inka naam kasrut se (zikr) kerney waley mardon aur aurton main likh deta hai.
(Abu Dawood, Ibn-e-Majah)
Hadees: Abdullah Bin Masood Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, tamaam Amaal main Afzal amal apne waqt per Namaz ka adaa kerna aur waaldain ke saath neki kerna hai.
(Sahih Muslim, Kitab Al Iman, H# 155)
Hadees: Anas Bin Maalik Raziallah Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, her Namaz ke waqt Allah Ta'la ka muqarar kerda farishta pukaarta hai "logon! Utho, is aag ko bhujaney ke lye jisey tum ney (apney gunahon se) jalaaya hai"
(Tibrani)
Hadees: Jabìr Bin Abdullah Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, Raat may ek waqt aesa hai ke is waqt jo Musalman aadmi ALLAH Ta'la se Dunya o Akhirat ki bhalae maangta hai ALLAH Ta'la isey ataa kerta hai, aur ye waqt her Raat may hota hai.
(Muslim, Kitabu Salaat, H# 757)
Hadees: Abu Maalik Shuraa Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, Jannat main aese mohallaat hain ke inka beroni hissa ander se nazar aata hai, aur andruni hissa bahir se, jo inke lye tayar kya gaya hai jo khana khilatey, narmi se baat kertey, kasrat se nafli Rozey rakhtey, Salaam ko Aam kertey aur jab log so rahain hotey hain to woh Namaz (Tahjud) perhtey hain.
(Termizi, Safatul Jannah, H#2527,
Musnad Ahmed, 343/5)
Hadees: Abu Huraira Raziallah Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, jab Farz Namaz ki "aqaamut" ho jae to siwae us waqt ki Farz namaz ke koi doosri namaz nahi hoti.
(Sahih Muslim)
Hadees: Abu Murshid Ganwi Raziallah Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, Qabron ki taraf mun (face) ker ke Namaz na perho aur na hee Qabron per (mujawar) bun ker betho.
(Sahih Muslim)
Hadees: Amma Aisha Raziallahu Anha se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, Fajr ki 2 Rak'at (Sunnat Mokdah) dunya aur is main jo kuch hai is sey behter hai.
(Termizi)
Hadees: Ibada Bin Samat Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, jo shaks Namaz main "Surah Fatiha" na perhey iski koi Namaz nahi.
(Sahih Bukhari, Kitabul Azaan, H# 756 /
Sahih Muslim, Kitabul Salaat, H# 874)
Hadees: Ibada Bin Samat Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam Fajr ki namaz perha rahey they ke Qira'at aap per bhari ho gae, Namaz se farig honey ke baad App Sallallahu Alaihi Wasallam ne poocha ke, "kia tum Imam ke peechey Qira'at kertey ho?" hum ney Arz ki jee haan, to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, "Aese na kia karo mager Surah Fatiha perha karo, kyun ke iske bagair "Namaz" nahi hoti.
(Abu Dawood)
Hadees: Anas Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, Imaam isi lye muqarar kia gaya hai ke iski mukammal pairwi ki jai, lihaza jab tak woh (ruku) main na jae tum bhi ruku main na jao, aur jab tak woh na uthey tum bhi na utho.
(Sahih Bukhari)
Hadees: Abu Huraira Raziallah Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, tum main se jo shaks Imaam se pehley apna "sir" uthata hai, kia usey khauf nahi aata ke kahin Allah Ta'la iska "sir" gadhey ka na banadey.
(Sahih Bukhari, Sahih Muslim)
Hadees: Abu Saeed Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, agar tum kisi admi ko Masjid main aata-jaata dekho to iskey Iman ki gawahi dedo, kyun ke Allah ne fermaya hai ke iski masjidain sirf wohi abaad kertey hain, jo Allah aur yuam-akhirat per Iman latey hain.
(Termizi)
Hadees: Abu Qataada Raziallah Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya,"jab koi aadmi masjid may dakhil ho to bethney se pehley 2 raka'at Namaz adaa karey.
(Sahih Bukhari)
Hadees: Anas Raziallah Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, "apni safain seedhi rakha karo, may tumhai apni pusht se dekhta hon." chunacha hum may se her aadmi apna kandah saath waley namazi ke kandhe se aur Qadum is k qadum se mila ker khara hota.
(Sahih Bukhari)
WAZAHUT: Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ka apni pusht se dekhna mo'ajza tha.
Hadees: Abu Hameed Raziallah Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ruku se sir uthatey to seedhe kharey ho jatey, yahan tak k her jor apni jaga per aajata.
(Bukhari)
Hadees: Abdullah Bin Abbas Raziallah Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, "mujhe 7 aeza per Sajjdah kerney ka hukum dia gaya hai. Pe-shani per, ye kehtey hoe Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne apne haath se Naak ki taraf ishaara kia, dono hath, dono ghutney, aur dono paon ki ungliaan. Aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya mujhe hukum dia gaya hai k hum Namaz may "Kapron" aur "baalon" ko na simtain.
(Bukhari)
Hadees: Abu Hameed Raziallah Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam Sajjdah may apni naak aur peshaani zameen k saath lagate aur haath zameen per apne pehloo se alag, kandhon k braber rakhtey.
(Termizi & Abu Dawood)
Hadees: Anas Raziallah Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, Sajjdah itminaan se karo aur tum may se koi bhi Sajjdah may apne baazu is terha na rakhe jis terha kutta (dog) rakhta hai.
(Sahih Bukhari & Muslim)
Hadees: Aisha Raziallah Anha fermati hain k "Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam jab ruku' fermate to apna sir kamer se na oncha kertey na neecha kertey, bulkey sir aur kamer braber rakhtey"
(Muslim)
Hadees: Abu Imama Raziallah Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, jo shaks her "farz" namaz k baad (Ayatal Kursi) perhta hai, to is ke aur Jannat k dermian maut k ilawa koi rukawat nahi hoti.
(Al Nisai)
Hadees: Qais Raziallahu Anhu se rivayat hai ke inho ne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath Subah ki Namaz perhi aur Namaz Fajr se pehley 2 rak'at Sunnatain ada nahi ki thi, jab Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Salaam phaira to inho ne kharey hoker Fajr ki 2 Sunnatain ada kee, Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam inki tarf dekh rahey they, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne is baat ka inkaar nahi kia.
(Ibn Khuzaima, 1116 - Darkitni, 274/1 - Bahiki, 372/1)
Hadees: Abu Saeed Raziallah Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, kia main tumhain woh baat na bataon jiska mujhe tum per maseeh dajjaal se bhi ziada khauf hai? Sahaba karaam ne arz kia: Ae Allah ke Rasool kyun nahi, zaroor bataaen, App Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, woh hai "Shirk-e-Khafy" k koi namaz ke lye khara ho aur woh apni namaz ko is lye sanwaar ke (acha ker ke) perhey ke koi admi ise dekh raha hai"
(Masand Ahmed)
Hadees: Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, be-shak tumhara Rab Hayadar Kareem hai,
woh apne bandey se Haya kerta hai ke jab iska banda haath buland karey aur woh iske haathon ko iski taraf khaali lota de. (Dawood)
Irshad Baari Ta'la hai:
"Kia Allah apne bandey ke lye kaafi nahi hai?"
(S.Zamar, V#36)
Hadees: Maaz Bin Anas Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, Jumma ke Din jab Imam Khutba de raha ho to, Ghutno ko pet ke saath mila ker baithney se mana' fermaya.
(Abu Dawood, Kitabul Salaat, H #1110/
Termizi, Kitabul Salaat, H #514)
Hadees: Jabir Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya,
Jumma ke din jab Imam Khutba de raha ho aur tum main se koi aae to isko chaehai ke 2 rak'at mukhtasar perh ley.
(Sahih Muslim, Kitabul Jumma, page 287, H # 2024)
Hadees: Noman Bin Basheer Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, "Du'a hee Ibadat hai" (Termizi)
Phir ye Ayat Tilawat fermae:
"tumhara perwerdigaar fermata hai ke tum mujhse maango main tumhari du'a ko qabool karonga, jo log meri Ibadat (du'a) se takabur kertey hain woh anqareeb zaleel ho ker Jahannam main daakhil hongey¤
(Surah Al-Momin, V# 60)
Hadees: Abu Imama Raziallah Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, "Tahjud" perhna aadat banalo, ye tum se pehle guzerne waley muttaqi logo ka tareeqa hai. Is se Allah ki qurbat hasil hoti hai, gunahon ka kufaara hota hai, aur inse bachney ki taufiq milti hai.
(Termizi)
**Sahi Hawaley ke bagair QURANI Aayaat aur AHADEES forward kerney se guraiz karain.

Quran / Hadiths 