Quranic Verses and Hadiths regarding Akhlaaq
Al-Quran: aur bhalae aur burae braber nahi ho sakti, to sakht kalami ka Jawab aese tariqey se do jo bohat ACHA ho, aesa kerney se tum dekho ge ke jis se tumhari Dushmani thi woh tumhara acha Dost hai¤ aur ye baat uhni logo ko haasil hoti hai jo bardasht kerney waley hain...¤
(Ha Meem Sajdah, V # 34:35)
Al-Quran: jab gharon main daakhil hoa karo to apne gher walon ko Salaam kaha karo, yeh Allah ki taraf se Pakeezah tohfa hai, isi terha Allah apni Ayaat tumharey lye khol khol ker bayaan fermata hai, taa ke tum samajh se kaam lo¤
(Al-Nur, Ayat 61)
Hadees: Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, tumharey Khadim, Mulaazim, Mazdoor, aur Gulaam tumharey bhai hain, lihaza tum main se jis ke qabze main iska koi bhai ho, to isko waisa hee khilae aur pehnae jaisa woh khud khata aur pehanta hai. Aur isko koi aisa kaam kerney ko na kahey jisko woh kerney ki istita'at na rakhta ho aur kabhi aesa kam kerney ko kahey to khud bhi iska haath batae.
(Sahih Bukhari)
Hadees: Abu Huraira Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, Admi ke bura honey ke lye yahi kafi hai ke woh apney Musalman bhai ko Haqeer samjhey.
(Sahih Muslim, Kitabul Ber, H# 2523:2524)
Hadees: Ayesha Raziallahu Anha se rivayat hai ke Ek dehati Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat main haazir hoa aur kaha Aap log 'bachon' ko bosa (kiss) kertey hain, hum to inhain bosa (kiss) nahi kertey, to Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, ager ALLAH ne tumharey dil se Reham nikal dya hai to main kia ker sakta hon.
(Sahih Bukhari, Kitab ul Adab, H# 5998)
Hadees: Nawas Bin Samaan Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne neki aur gunah ke mutaliq daryaft kerne per fermaya, "Neki" husn Ikhlaaq ka naam hai aur "Gunah" woh hai jiski khatak tumharey dil main rahey aur doosro ka is barey main jaanna tumhain nagawar ho.
(Sahih Muslim, H#6195)
Hadees: Abdullah bin Mas'ood Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, kia main tumhain aese logo ki khabar na doo jinper Jahanam ki Aag Haram hai? ye her is shaks per Haram hai jo logo ke Qareeb Rehney wala, Narmi Wala, Aasani kerney wala hai.
(Termizi, H# 2488)
Hadees: Anas Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, tum main se koi shaks Iman nahi lata, jub tak apney bhai kelye woh na chahai, jo apney lye chahta hai.
(Sahih Bukhari, Kitab ul Iman, H# 13)
Hadees: Ayesha Raziallahu Anha se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam, Hadya (gift) qabool ferma lya kertey aur iska badla bhi dya kertey they.
(Sahih Bukhari, Kitab ul Hubba o Fazlaha, H# 2585)
Hadees: Abdullah Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, Momin "Ta'na" dene wala, "La'nut kerney wala, Na-zeba guftago kerney walaa ur Fahash kalami kerney wala nahi hota.
(Sahih Bukhri, Kitab ul Adab, H# 6056)
Hadees: Abdullah Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, Dawat deney waley ki Dawat ko Qabool karo, Tohfa mat lotao, aur Musalmano ko mat maaro.
(Ibn e Haban, Kitab ul Hizr, H# 5603)
Hadees: Abu Saeed Khudri Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, raasto per baithney se perhaiz karo, Sahaba ne arz kia hamari majliso ke bagair hamara guzara nahi, kyun k hum in main bahmi baat cheet kertey hain, Aap ne fermaya jab tum nahi maantey to raastey ka Huq adaa karo, poocha iska Huq kia hai? Fermaya Nigah neechi rakhna, Taklif na dena, Salaam ka jawab dena, Neki ka hukm dena, aur Burae se rokna.
(Sahih Muslim)
**Sahi Hawaley ke bagair QURANI Ayaat aur AHADEES forward kerney se guraiz karain.

Quran / Hadiths 