Istilahat-al-Hadees

http://www.opentruths.com/images/masnoon-azkar/azkar-icon.png

Masnoon Azkaar

http://opentruths.com/images/salaam/salaam-icon.png

Masnoon Salaam

http://opentruths.com/images/kaba-icon.png

Watch Live Kaba

ahadees


Al-Quran: apne Rab ke lye Namaz perh aur Qurbani ker¤
(Al-Kauser, V# 2)


Al-Quran:
keh dijye be-shak meri Namaz aur meri Qurbani aur mera Jeena aur mera Merna ALLAH Rabul Aalameen ke lye hai¤
(Al-Anaam, V# 162)


Al-Quran:
ALLAH ko na Janwaro ka Gosht pohanchta hai aur na inka Khoon, ise sirf tumhara Taqwa pohanchta hai¤
(Al-Haj, V# 37)


Hadees:
Bra Bin Aazib Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam se poocha gaya, kis jaanwar Ki Qurbani se bachna chaehai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, 4 Qism ke jaawaro se bachna chaehai, Langra jiska langrapan zahir ho, Bhainga jiska bhaingapan zahir ho, Beemar jiski beemari wazih ho, aur Kamzor jiski hadio main gooda na ho.
(Musnad Ahmed, 301/4)


Hadees:
Huzaifa Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne humain hukm dia ke hum (Qurbani ka Jaanwar) kharidtey waqt iski Aankhain aur Kaan achi terha daikh lain.
(Ibn Khuzaima, H# 2914, 2915
Mustadrik Hakim, H# 467/1, 220/4)


***
Qurbani Key Masael
Zibah kertey waqt Jaanwar ko Qibla Rukh ker lena Mustahib hai.
(Ibn Khuzema)

Qurbani kertey waqt ki Dua: "Bismillahi Wallahu Akber".
(Sahih Bukhari o Muslim)

Khud Zibah kerna Afzal hai, lekin kisi doosrey se Zibah kerwaney main bhi koi herj nahi.
(Sahih Bukhari)

Musalman Aurat bhi Qurbani ka Janwar Zibah ker sakti hai.
(Sahih Bukhari)

Zibah kerney waley Qasaab ko Qurbani ke Jaanwar main se koi cheez batorey Mazduri dena Jaez nahi.
(Bukhari o Muslim)
***

Al-Quran: Abi Qatada Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam se yaum-e-Arfa (9 Zil Haj) ke rozey ke barey main poocha gaya to fermaya, is din ka roza guzishta saal aur aaenda saal ke gunnaho ka kufara hai.
(Sahih Muslim, Kitabul Siyaam, H#367 )
Ek aur rivayat hai ke,
Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam 9 Zil Haj, yaum-e-Aashura, aur her Mah main se 3 din roza rakhtey they.
(Abu Dawood, Jild 2, H# 300,301/
Nisae, H# 2419, 2420)


Hadees:
Ume Salma Raziallahu Anha se rivayat hai ke Rasulullah sallalahu Alaihi Wasallam ne fermaya, jab tum Zil-Haj ka chaand dekho aur tum main se koi shaks qurbani ka iradah karey to isey baal aur nakhun tarashney se ruk jana chaeye.
(Sahih Muslim, H# 1977)


Hadees:
Abdullah bin Umar Raziallahu Anhu se rivayat hai k, ek shaks ne sawaal kia! Ya Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ager merey paas doodh dene waley jaawar ke ilawa aur koi jaawar na ho to kia main iski Qurbani ker sakta hoon? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, nahi lekin to apney Nakhun aur Moocho ke baal aur Zere Naaf ke baal Eid ki namaaz ke baad kaat, ALLAH ke haan tujhey Qurbani ka sawaab mileyga.
(Nisae, Jild 2, H#195,
Dawood, Jild 3, H#50)


Hadees: Jabeer Bin Muut'am Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya Tashreeq ke tamaam din (yani 11, 12, 13 Zil Haj) Qurbani ke Din hain.
(Musnad Ahmed, Jild 4, H# 6797/
Sahih Ibn-e-Habaan, H# 3843/
Sanan Dar Qitni, H# 4671)


Hadees: Ayesha Raziallahu Anha se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam, "Eid ul Fitr" aur "Eid ul Azha" ki namaz main Ruku ki takbeerat ke ilawa 12 takbeerat kaha kertey they.
(Sahih Abu Dawood, H# 1043/
Sahih Ibn Maja, H# 1058)


Hadees: Umro Bin Auf Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne, Eidain main pehli Rak'at main Qirat se pehley 7 aur dosri Rak'at main Qirat se pehley 5 takbiraat kahin.
(Termizi, Jild #1, page 166/
Ibn Maja, H# 1057)
For more Reference:
(Termizi, H #442/
Abu Dawood, H# 1405:1406)


**Sahi Hawaley ke bagair QURANI ayaat aur AHADEES forward kerney se guraiz karain.

 


Al-Quran: ALLAH ke haan Mahino ki ginti 12 hee hai,  is din se ke isne Aasman aur Zameen ko paida kia, jin main 4 mahine hurmat waley hain, yahi mazboot deen hai, lihaza in mahino main (Qitaal na-huq) se apne aap per Zulm na karo, aur tum sab mushriko se laro jese woh tumse lertey hain..¤
(Al-Tauba, V#36)


Hadees:
Abu Huraira Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, jab Mah-e-Ramazan aata hai to Aasman ke derwazey khol diye jaatey hain aur Dozakh ke derwazey bund ker diye jatey hain aur Shayateen ko jaker diya jata hai.
(Sahih Bukhari, Vol 3, Book 31, Hadees #123)


Hadees:
Umro Bin Aas Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, hamarey aur Ahl-e-Kitaab ke Rozo main ferq Sehri Khana hai.
(Sahih Muslim)


Hadees:
Abu Huraira Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, Deen Islam (hamesha) Galib raheyga, jab tak log Iftaar main jaldi karaingey, jab key Yahoodi aur Essae Iftaar main taakheer kertey hain
(Abu Dawood, Ibn Maja)


Hadees:
Anas Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, Sehri khao kyun ke Sehri khaney main berkat hai.
(Sahih Bukhari, Muslim)


Hadees: Abu Huraira Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, jis Rozedaar ko khud ba khud qey aae isper qaza nahi hai, albutta jo (jaan boojh ker) Qey karey woh qaza rozey rakhey.
(Abu Dawood, Ibn Maja)


Hadees: Abu Huraira Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, jo shaks Roza rakh ker 'Jhoot' bolna aur 'Fahash' amal kerna turk na karey to Allah ko is baat ki koi hajut nahi ke woh khana peena chore de.  
(Sahih Bukhari)


Hadees: Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, jo shaks Ramzan ke Rozo ke baad Shawwal ke mahiney me 6 Rozey rakhey osey Saal bhar Rozey rakhney ka Sawab milta hai.
(Abu Dawod. H#2125)


Hadees: Abu Huraira Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, koi Aurat apney Khawand (Husband) ki Ijazat ke bagair (nafli) rozah nahi rakh sakti.
(Sahih Bukhari, H# 5192;
Sahih Muslim, H# 1026)



Hadees: Abdullah bin Umar Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne azad Gulaam, Mard, Aurat aur her chotey barey Musalman per 1 Saa khajoor ya 1 Saa Jo' bator Sadqa Fitr ada kerna Farz kia hai aur ise logo ke Namaz-e-Eid ke lye nikalne se qabal adaa kerne ka hukm dya.
(Sahih Bukhari, H#1503)
*
(1 Saa) 2.5kg banta hai.
* Maujudah dor main Aata, makai, chawal istimal hotey hai, lihaza in main se Sadqa fitr ada kia ja sakta hai.



Hadees: Ibn e Abbas Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne "Sadqa Fitr" farz kia hai (jiska ek Maqsad) rozeydar ke rozey ko behoodgi aur fahash kalami se pak kerna hai, aur (doosra maqsad) Gurba-o-Masakeen ki khoraak aur deegar zaroriat ka intizaam hai.
(Abu Dauod, H #1609)



Hadees: Abu Huraira Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, jab koi aadmi Azan suney aur khaney ka bertan iskey haat main ho to isey foran na rakhdey bulkey apni zaroorat poori kerley
(Abu Dawood, Ibn Maja)
*
chunkey Fajr ki Azan Fajr ke tulu hotey hi kehdi jati hai, isliye Azan ke waqt khaney ki gunjaish hoti hai, albutta jab Fajr achi terha wazih ho jae to khana peena jaez nahi (Walla-o-Alam)



Hadees: Rasulullah Sallalahu Alaihi Wasallam ne logo ko hukm diya k Aurto ko le ker Namaz k liye niklain, bina chader wali Aurat kisi se chadar maangle ya 1 chadar mien 2 aurtain jain, jo Namaz perhne se kasir ho wo bhi nikley aur alag bethi rahe aur Momino ki du'aon mien shareek ho aur Allah ki Rehmat paen.
(Sahih Bukhari H# 324, 351, 971, 974 / Sahih Muslim H# 890)


Hadees: Ek mertaba Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat main 2 aurtain aaen  inkey haatho main Soney ke kangan the. Aap ne insey poocha, kia tumne inki Zakaat di hai? Inhon ne kaha: jee nahi, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya: kia tumko ye pasand hai ke inkey badley Allah Ta'la tumhain Aag ke kangan pehnae? Woh bolin nahi. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, phir inki Zakaat dia karo.
(Jamia Termizi, H# 637)


Hadees: Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ka ferman hai, woh log jo apney maalo ki Zakat adaa nahi kertey insey Baarish rok li jati hai, aur ager "cho pae" na hon to inper kabhi Baarish na bersae jae.
(Ibn Maja, Kitabul Akubaat, H# 106)


**Sahi Hawaley ke bagair QURANI ayaat aur AHADEES forward kerney se guraiz karain.

 


Al-Quran: aur bhalae aur burae braber nahi ho sakti, to sakht kalami ka Jawab aese tariqey se do jo bohat ACHA ho, aesa kerney se tum dekho ge ke jis se tumhari Dushmani thi woh tumhara acha Dost hai¤ aur ye baat uhni logo ko haasil hoti hai jo bardasht kerney waley hain...¤
(Ha Meem Sajdah, V # 34:35)


Al-Quran:
jab gharon main daakhil hoa karo to apne gher walon ko Salaam kaha karo, yeh Allah ki taraf se Pakeezah tohfa hai, isi terha Allah apni Ayaat tumharey lye khol khol ker bayaan fermata hai, taa ke tum samajh se kaam lo¤
(Al-Nur, Ayat 61)


Hadees:
Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, tumharey Khadim, Mulaazim, Mazdoor, aur Gulaam tumharey bhai hain, lihaza tum main se jis ke qabze main iska koi bhai ho, to isko waisa hee khilae aur pehnae jaisa woh khud khata aur pehanta hai. Aur isko koi aisa kaam kerney ko na kahey jisko woh kerney ki istita'at na rakhta ho aur kabhi aesa kam kerney ko kahey to khud bhi iska haath batae.
(Sahih Bukhari)



Hadees: Abu Huraira Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, Admi ke bura honey ke lye yahi kafi hai ke woh apney Musalman bhai ko Haqeer samjhey.
(Sahih Muslim, Kitabul Ber, H# 2523:2524)



Hadees: Ayesha Raziallahu Anha se rivayat hai ke Ek dehati Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat main haazir hoa aur kaha Aap log 'bachon' ko bosa (kiss) kertey hain, hum to inhain bosa (kiss) nahi kertey, to Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, ager ALLAH ne tumharey dil se Reham nikal dya hai to main kia ker sakta hon.
(Sahih Bukhari, Kitab ul Adab, H# 5998)


Hadees: Nawas Bin Samaan Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne neki aur gunah ke mutaliq daryaft kerne per fermaya, "Neki" husn Ikhlaaq ka naam hai aur "Gunah" woh hai jiski khatak tumharey dil main rahey aur doosro ka is barey main jaanna tumhain nagawar ho.
(Sahih Muslim, H#6195)


Hadees: Abdullah bin Mas'ood Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, kia main tumhain aese logo ki khabar na doo jinper Jahanam ki Aag Haram hai? ye her is shaks per Haram hai jo logo ke Qareeb Rehney wala, Narmi Wala, Aasani kerney wala hai.
(Termizi, H# 2488)



Hadees: Anas Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, tum main se koi shaks Iman nahi lata, jub tak apney bhai kelye woh na chahai, jo apney lye chahta hai.
(Sahih Bukhari, Kitab ul Iman, H# 13)



Hadees: Ayesha Raziallahu Anha se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam, Hadya (gift) qabool ferma lya kertey aur iska badla bhi dya kertey they.
(Sahih Bukhari, Kitab ul Hubba o Fazlaha, H# 2585)



Hadees: Abdullah Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, Momin "Ta'na" dene wala, "La'nut kerney wala, Na-zeba guftago kerney walaa ur Fahash kalami kerney wala nahi hota.
(Sahih Bukhri, Kitab ul Adab, H# 6056)



Hadees: Abdullah Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, Dawat deney waley ki Dawat ko Qabool  karo, Tohfa mat lotao, aur Musalmano ko mat maaro.
(Ibn e Haban, Kitab ul Hizr, H# 5603)



Hadees: Abu Saeed Khudri Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, raasto per baithney se perhaiz karo, Sahaba ne arz kia hamari majliso ke bagair hamara guzara nahi, kyun k hum in main bahmi baat cheet kertey hain, Aap ne fermaya jab tum nahi maantey to raastey ka Huq adaa karo, poocha iska Huq kia hai? Fermaya Nigah neechi rakhna, Taklif na dena, Salaam ka jawab dena, Neki ka hukm dena, aur Burae se rokna.
(Sahih Muslim)


**Sahi Hawaley ke bagair QURANI Ayaat aur AHADEES forward kerney se guraiz karain.

 


Al-Quran:
Ae Iman walo! Jumma ke Din jab Namaz ke lye Azan di jae to ziker Ilaahi ki taraf dor ker
aao aur Khareed o Farookht chor do, ager tum jaano to yehi baat tumharey lye behter hai¤
(Surah Jumma, V# 9)


Al-Quran:
Ae Iman walo! Apne aapko aur apne gher walo ko Jahanam ki Aag se bachao, jiska indhan log aur pather honge¤
(Al-Tehrim, V#6)


Hadees:
Abdullah Bin Masood Raziallahu Anhu se rivayat hai k, "apne bacho ki Namaz ki hifazat karo, phir in main Khair ki aadat daalo, islye ke khair aadat ke zarye aati hai.
(Bahiqi,3/84)


Hadees:
Bureedah Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya,
andherey main Masjidon ki taraf chal ker jaaney walon ko Qayamat ke din kaamil roshni ki khushkhabri de do.
(Abu Dawood, Termizi)


Hadees:
Abu Huraira Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, jab Aadmi raat ko uthey aur apni biwi ko bhi uthae aur "dono" 2 Rak'at namaz adaa karain to Allah Ta'la inka naam kasrut se (zikr) kerney waley mardon aur aurton main likh deta hai.
(Abu Dawood, Ibn-e-Majah)


Hadees:
Abdullah Bin Masood Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, tamaam Amaal main Afzal amal apne waqt per Namaz ka adaa kerna aur waaldain ke saath neki kerna hai.
(Sahih Muslim, Kitab Al Iman, H# 155)


Hadees:
Anas Bin Maalik Raziallah Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, her Namaz ke waqt Allah Ta'la ka muqarar kerda farishta pukaarta hai "logon! Utho, is aag ko bhujaney ke lye jisey tum ney (apney gunahon se) jalaaya hai"
(Tibrani)


Hadees:
Jabìr Bin Abdullah Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, Raat may ek waqt aesa hai ke is waqt jo Musalman aadmi ALLAH Ta'la se Dunya o Akhirat ki bhalae maangta hai ALLAH Ta'la isey ataa kerta hai, aur ye waqt her Raat may hota hai.
(Muslim, Kitabu Salaat, H# 757)


Hadees:
Abu Maalik Shuraa Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, Jannat main aese mohallaat hain ke inka beroni hissa ander se nazar aata hai, aur andruni hissa bahir se, jo inke lye tayar kya gaya hai jo khana khilatey, narmi se baat kertey, kasrat se nafli Rozey rakhtey, Salaam ko Aam kertey aur jab log so rahain hotey hain to woh Namaz (Tahjud) perhtey hain.
(Termizi, Safatul Jannah, H#2527,
Musnad Ahmed, 343/5)


Hadees:
Abu Huraira Raziallah Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, jab Farz Namaz ki "aqaamut" ho jae to siwae us waqt ki Farz namaz ke koi doosri namaz nahi hoti.
(Sahih Muslim)



Hadees:
Abu Murshid Ganwi Raziallah Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, Qabron ki taraf mun (face) ker ke Namaz na perho aur na hee Qabron per (mujawar) bun ker betho.
(Sahih Muslim)


Hadees:
Amma Aisha Raziallahu Anha se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, Fajr ki 2 Rak'at (Sunnat Mokdah) dunya aur is main jo kuch hai is sey behter hai.
(Termizi)


Hadees:
Ibada Bin Samat Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, jo shaks Namaz main "Surah Fatiha" na perhey iski koi Namaz nahi.
(Sahih Bukhari, Kitabul Azaan, H# 756 /
Sahih Muslim, Kitabul Salaat, H# 874)


Hadees:
Ibada Bin Samat Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam Fajr ki namaz perha rahey they ke Qira'at aap per bhari ho gae, Namaz se farig honey ke baad App Sallallahu Alaihi Wasallam ne poocha ke, "kia tum Imam ke peechey Qira'at kertey ho?" hum ney Arz ki jee haan, to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, "Aese na kia karo mager Surah Fatiha perha karo, kyun ke iske bagair "Namaz" nahi hoti.
(Abu Dawood)


Hadees:
Anas Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, Imaam isi lye muqarar kia gaya hai ke iski mukammal pairwi ki jai, lihaza jab tak woh (ruku) main na jae tum bhi ruku main na jao, aur jab tak woh na uthey tum bhi na utho.
(Sahih Bukhari)


Hadees:
Abu Huraira Raziallah Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, tum main se jo shaks Imaam se pehley apna "sir" uthata hai, kia usey khauf nahi aata ke kahin Allah Ta'la iska "sir" gadhey ka na banadey.
(Sahih Bukhari, Sahih Muslim)



Hadees:
Abu Saeed Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, agar tum kisi admi ko Masjid main aata-jaata dekho to iskey Iman ki gawahi dedo, kyun ke Allah ne fermaya hai ke iski masjidain sirf wohi abaad kertey hain, jo Allah aur yuam-akhirat per Iman latey hain.
(Termizi)


Hadees:
Abu Qataada Raziallah Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya,"jab koi aadmi masjid may dakhil ho to bethney se pehley 2 raka'at Namaz adaa karey.
(Sahih Bukhari)


Hadees:
Anas Raziallah Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, "apni safain seedhi rakha karo, may tumhai apni pusht se dekhta hon." chunacha hum may se her aadmi apna kandah saath waley namazi ke kandhe se aur Qadum is k qadum se mila ker khara hota.
(Sahih Bukhari)

WAZAHUT:
Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ka apni pusht se dekhna mo'ajza tha.


Hadees: Abu Hameed Raziallah Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ruku se sir uthatey to seedhe kharey ho jatey, yahan tak k her jor apni jaga per aajata.
(Bukhari)


Hadees:
Abdullah Bin Abbas Raziallah Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, "mujhe 7 aeza per Sajjdah kerney ka hukum dia gaya hai. Pe-shani per, ye kehtey hoe Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne apne haath se Naak ki taraf ishaara kia, dono hath, dono ghutney, aur dono paon ki ungliaan. Aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya mujhe hukum dia gaya hai k hum Namaz may "Kapron" aur "baalon" ko na simtain.
(Bukhari)



Hadees:
Abu Hameed Raziallah Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam Sajjdah may apni naak aur peshaani zameen k saath lagate aur haath zameen per apne pehloo se alag, kandhon k braber rakhtey.
(Termizi & Abu Dawood)


Hadees:
Anas Raziallah Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, Sajjdah itminaan se karo aur tum may se koi bhi Sajjdah may apne baazu is terha na rakhe jis terha kutta (dog) rakhta hai.
(Sahih Bukhari & Muslim)


Hadees:
Aisha Raziallah Anha fermati hain k "Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam jab ruku' fermate to apna sir kamer se na oncha kertey na neecha kertey, bulkey sir aur kamer braber rakhtey"
(Muslim)


Hadees:
Abu Imama Raziallah Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, jo shaks her "farz" namaz k baad (Ayatal Kursi) perhta hai, to is ke aur Jannat k dermian maut k ilawa koi rukawat nahi hoti.
(Al Nisai)


Hadees:
Qais Raziallahu Anhu se rivayat hai ke inho ne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath Subah ki Namaz perhi aur Namaz Fajr se pehley 2 rak'at Sunnatain ada nahi ki thi, jab Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Salaam phaira to inho ne kharey hoker Fajr ki 2 Sunnatain ada kee, Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam inki tarf dekh rahey they, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne is baat ka inkaar nahi kia.
(Ibn Khuzaima, 1116 - Darkitni, 274/1 - Bahiki, 372/1)


Hadees:
Abu Saeed Raziallah Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, kia main tumhain woh baat na bataon jiska mujhe tum per maseeh dajjaal se bhi ziada khauf hai? Sahaba karaam ne arz kia: Ae Allah ke Rasool kyun nahi, zaroor bataaen, App Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, woh hai "Shirk-e-Khafy" k koi namaz ke lye khara ho aur woh apni namaz ko is lye sanwaar ke (acha ker ke) perhey ke koi admi ise dekh raha hai"
(Masand Ahmed)


Hadees:
Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, be-shak tumhara Rab Hayadar Kareem hai,
woh apne bandey se Haya kerta hai ke jab iska banda haath buland karey aur woh iske haathon ko
iski taraf khaali lota de. (Dawood)
Irshad Baari Ta'la hai:
"Kia Allah apne bandey ke lye kaafi nahi hai?"
(S.Zamar, V#36)


Hadees:
Maaz Bin Anas Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, Jumma ke Din jab Imam Khutba de raha ho to, Ghutno ko pet ke saath mila ker baithney se mana' fermaya.
(Abu Dawood, Kitabul Salaat, H #1110/
Termizi, Kitabul Salaat, H #514)



Hadees:
Jabir  Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya,
Jumma ke din jab Imam Khutba de raha ho aur tum main se koi aae to isko chaehai ke 2 rak'at mukhtasar perh ley.
(Sahih Muslim, Kitabul Jumma, page 287, H # 2024)


Hadees:
Noman Bin Basheer Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, "Du'a hee Ibadat hai" (Termizi)

Phir ye Ayat Tilawat fermae:
"tumhara perwerdigaar fermata hai ke tum mujhse maango main tumhari du'a ko qabool karonga, jo log meri Ibadat (du'a) se takabur kertey hain woh anqareeb zaleel ho ker Jahannam main daakhil hongey¤
(Surah Al-Momin, V# 60)



Hadees:
Abu Imama Raziallah Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, "Tahjud" perhna aadat banalo, ye tum se pehle guzerne waley muttaqi logo ka tareeqa hai. Is se Allah ki qurbat hasil hoti hai, gunahon ka kufaara hota hai, aur inse bachney ki taufiq milti hai.
(Termizi)


**Sahi Hawaley ke bagair QURANI Aayaat aur AHADEES forward kerney se guraiz karain.

 

 
Al-Quran: aur ye Quran tumhare lye aur tumhari Quam ke lye Nasihat hai aur logo tumse Zaroor anqareeb pooch gooch hogi¤ aur Ae Nabi! Jo Pegamber humne tumse pehle bheje hain unkey Ahwaal deryaft kerlo, kia humne Rehman (yani ALLAH) ke siwa aur Ma'bood batae they jinki Ibadat ki jae?¤
(Zukhruf, V#44:45)


Al-Quran:
kon hai jo be-qarar ki dua sunta hai, jabkey woh isey pukarey aur kon iski takleef rafa' kerta hai? Aur (kon hai jo) tumhain Zameen ka khalifa banata hai? Kia Allah ke saath koi aur 'Ila' bhi hai¤
(Al-Namal, V#62)



Al-Quran:
Tum subka ek hee Ma'bood hai, iske siwa koi Ma'bood ber Huq nahi¤
(Al-Baqara, V#163)



Al-Quran:
Ae Nabi sub se yeksoo ho ker Deen ISLAM ki pairwi kiye jao aur Mushriko main se hergiz na hona¤ aur ALLAH ko chor ker aesi cheez ko na pukaarna jo na tumhara kuch bhala ker sakey aur na kuch bigaar sakey, ab ager aisa karogey to Zalimo main se ho jao ge¤
(Surah Younus, V # 105:106)



Al-Quran:
ALLAH jisko chahta hai Suna deta hai, aur tum unko jo Qabro main Madfoon hain Suna nahi sakte¤
(Fatir,V#22)



Al-Quran:
is shaks se bhar ker kon ghumrah hoga jo ALLAH ko chor ker inhain pukaarta hai, jo Qayamat tak ise jawab nahi de sakte, bulke woh inki pukar se he be-khaber hain¤
(Al-Ahkaf,V#5)



Al-Quran:
aur Jin logo ko ALLAH ke siwa ye log pukaartey hain woh koi cheez bhi paida nahi ker
saktey, bulkey woh khud paidah kiye gaey they
¤ woh Murdah hai, Inko to ye bhi nahi ma'loom ke woh kab uthaey jaengey¤
(Al-Nahl, V# 20:21)



Hadees:
Syedha Aaisha Raziallahu Anha fermatin hain jo shaks ye gumaan rakhta hai ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam kal ko pesh aaney waaley halaat ka Ilm rakhtey hain, is ne Allah per bohat bara Bohtaan baandha, kyun ke Irshaad Baari Ta'la hai:"keh dijye ke Aasman waalon main se aur Zameen waalon main se siwae Allah ke koi Gaib nahi jaanta"(An-Naml, V#65)
(Sahih Muslim, H# 177)



Hadees:
Abu Huraira Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, may ne Qiyamat ke din apni ummat ki Sifarish ke lye 1 Dua ko mehfooz ker rakha hai, woh Inshallah is shaks ko hasil hogi jo ALLAH ke saath kisi qism ka shirk na kerte hoe Fot hoa.
(Sahih Muslim, Kitabul Iman, H#199)



Hadees:
Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ka ferman hai, yaqinan tamaam baton se behter Allah ki kitaab hai, tamaam tariqo se behter tariqa Muhammad (Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam) ka hai, aur tamaam kaamo se buttareen kaam woh hain jo (Deen Islam) main apni taraf se Ijaad kye jaen. Deen main her naya kaam bid'at hai aur bid'at gumrahee hai, aur gumrahee ka anjaam Jahannam ki Aag hai.
(Sahih Muslim, Kitaab ul Jumma, Hadees # 2005:2008)


Hadees:
Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam se mervi hai k ALLAH Tala fermate hain, Main tamaam shariko ki nisbat her Qism ke Shirk se bohat ziada bezaar hon, Jisne kisi Amal may mere sath kisi ko shareek kia to may ise chor deta hon, woh Amal isi ke lye hoga jisko isne shareek kia tha.
(Ibn Maja, Al-Ria, H#4202)


Hadees:
Abu Huraira Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, Jo Shaks Kahan (Aainda ki khabrain bataney waley) ya Haatho ki lakeero ko dekh ker mustaqbil ke halaat batlaney ke Dawedar) ke paas aaya aur iski baato per yaqeen kia, isne goya Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam per Nazil shuda Ser'yat ka inkaar ker diya.
(Musnad Ahmed, H# 9532)


Hadees:
Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ka ferman hai, ''Jo shaks mere naam se koi baat aagey barhae jab ke woh baat mene nahi kahi to woh is Dunya se Pukka Irada karle ke iska thikana JHANNUM hey.
(Sahih Bukhari)

**Sahi Hawaley ke bagair QURANI Ayaat aur AHADEES forward kerney se guraiz karain.

 

 
Al-Quran: Allah Ta'la aur iskey Farishtey Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) per Rehmat bhejtey hain, Ae Iman waalo! tum bhi in per Durood bhejo aur khoob Salaam bhejtey raha karo¤
(Surah Al-Ahzaab, V# 56)


Hadees: Abdullah Bin Masood Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ek seedhi lakeer khenchi, phir fermaya: "ye Allah ka raasta hai"

Phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne iskey daen aur baen (right and left) chund lakeerain khenchi aur fermaya: "ye mukhtalif raastey hain, in main se her ek raastey per Shetaan hai. (Musnad Ahmed)

Phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne ye Ayat tilawat fermae: "aur yaqeenan ye mera seedha raasta hai, lihaza tum isi ki pairwi karo aur tum doosrey raaston ki pairwi na karo, woh tumhain (Allah) ke raastey se alag ker daingey¤
(Al-An'aam, V#153)


Al-Quran: ager hum is Quran ko kisi pahar per Nazil kertey to aap dekhtey ke ALLAH ke khauf se jhuk ker phat jata aur hum ye misalain logo ke lye bayan kertey hain taakey woh gor karain¤ wohi ALLAH hey jiske siwa koi mabood nahi sab chupi aur khuli baato ka jan ney wala hai..¤
(Al-Hashr, V# 21,22)


Al-Quran:
aur is shaks se bher ker baat ka acha kon ho sakta hai jo ALLAH ki taraf bulae aur Nek Amal karey aur kahe ke may Musalman hon¤
(Ha Meem Sajdah, V#33)


Al-Quran:
Aap keh dijye ke ALLAH ek hai¤ ALLAH be-niaz hai¤ na iski koi Aulaad hai aur na woh kisi ki Aulaad hai¤ iska humsar koi nahi¤
(Surah Ikhlas, V# 1:4)


Hadees:
Anas Raziallah Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, 3 (teen) ausaaf jis aadmi main hon woh inki badolat Imaan ki mithaas pa leta hai,
1. Woh Allah aur iske Rasool ko sab se ziada mehboob samjhe.
2. Kisi se mohabat kare to mehez Allah k lye.
3. Allah Ta'la ne ise 'kufr' se bachalia hai to ab woh 'kufr' ko is terha Na-pasand karey jis terha Aag main dala jana isey Na-pasand hai.
(Sahih Bukhari, Sahih Muslim)


Hadees:
Abu Huraira Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, jab Ibn e Adam Ayat Sajjda tilawat kerke Sajjda kerta hai to, Shaitan Aah Baka kerta hoa us se door hojata hai, aur kehta hai meri ya inki tabahi ho, Ibn n Adam ko Sajjda ka hukm kia gaya to isne Sajjda ker lya to ise Jannat mileygi aur mujhe Sajjda ka hukm hoa to main ne Inkaar kia, lihaza merey lye Jahannam ka Wada hai.
(Sahih Muslim, Kitab ul Iman, H# 144)


Hadees:
Rabia Deli Raziallahu Anha se rivayat hai k main ne apney ahd jahliat main dekha Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam Bazar-e-Zulmijaaz main fermatey they, Ae logo! "La Ilaaha Illallah" kaho kaamyabg ho jaogey.
(Musnad Ahmed, H# 1620:1624)


Hadees:
Abu Huraira Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, tum main se her ek ke paas Shaitaan aata hai phir kehta hai Aasman ko kisney paida kia? Zameen ko kisney paida kia? Phir woh kehta hai ke ALLAH ko kisney paida kia? Tum main se jab kisi ko aesa wiswisa ho to kahey, Main ALLAH aur iske Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) per Iman laya.
(Sahih Muslim, Kitabul Iman, H#134)


Hadees:
Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, aesa koi Shaks nahi jisney sachey dil ke sath is baat ki gawahi di ho ke, "kio Ma'bood nahi mager Allah Ta'la ke aur Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) iskey bandey aur Rasool hain" to Allah ne isper Aag Haram kerdi.
(Bukhari-o-Muslim, Sahih Muslim)


Hadees:
Abdullah Bin Umar Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne fermaya, gaib ki kunjian 5 hain, jinhain Allah ke ilaawa koi nahi janta,
1. Koi nahi jaanta ke kal kia hoga.
2. Koi nahi jaanta ke Maa ke pait main kia hai.
3. Koi nahi jaanta ke kal woh kia kamaega.
4. Koi nahi jaanta ke iski maut kahan waaqey hogi.
5. Koi nahi jaanta ke baarish kab hogi.
(Sahih Bukhari)

**Sahi Hawaley ke bagair QURANI Ayaat aur AHADEES forward kerney se guraiz karain.

 
Powered by Tags for Joomla